Paypal ek online payment send ya receive karne ki website
hai jis se lakho log roj crores rupay rojana online transfer karne ke liye use
karte hai. PayPal 190 countries me hai, ye global online payment system hai.. Paypal
1998 se chal rahi hai or ye online business ke liye bilkul sahi hai kyunki
foreign countries se payment lena aur dena bahut hi mushkil bhara hota hai..
Agar aap online business karte hai ya pir kisi online business
se rupay kama rahe hai to aapke liye paypal
bhut jaruri hai, kyunki ki jyada tar online website payment ke liye paypal ka
istmaal karti hai.
To fir aaiye jaante hai ki paypal ki website par account
kaise banate hai or kin kin chijo ki jarurat padti hai hamein apne account me.
Paypal
Account ke Liye Kya Chahiye
1. Email ID
2.Bank Account
3.PAN Card