HURRY UP :Apne Business Ko YoungBhopal Ke Sath Jod Kar Nayi Pehchan De, Send SMS "ME" to 7748066224

Online Coaching

ATTENTION READERS :यंगभोपाल वेबसाइट पर अपने लेखन का हुनर दिखाए और अपने दोस्तो के बीच लोकप्रियता पायें.. अपने लेख आप हमें मेल करें mehratech.mail@gmail.com पर

July 26, 2015

Paypal Payment System Kya Aur Kaise


Paypal ek online payment send ya receive karne ki website hai jis se lakho log roj crores rupay rojana online transfer karne ke liye use karte hai. PayPal 190 countries me hai, ye global online payment system hai.. Paypal 1998 se chal rahi hai or ye online business ke liye bilkul sahi hai kyunki foreign countries se payment lena aur dena bahut hi mushkil bhara hota hai..
Agar aap online business karte hai ya pir kisi online business se rupay kama rahe hai to aapke liye paypal bhut jaruri hai, kyunki ki jyada tar online website payment ke liye paypal ka istmaal karti hai.
To fir aaiye jaante hai ki paypal ki website par account kaise banate hai or kin kin chijo ki jarurat padti hai hamein apne account me.
Paypal Account ke Liye Kya Chahiye
1. Email ID
2.Bank Account
3.PAN Card
4.Dabit/Credit Card
5.Aapka Address
6.Mobile Number

Paypal Account Kaise Banta hai
Step 1.Sabse phele  Paypal.com par jao. Site par jane ke baad Sign Up ki Button par click kare

Step 2.Agle Page par ek form khulega usko pura bhare. Akhri me Agree and Create Account ki Button par click kare

Step 3.Fir next page khulega, Code ko daale firContinuepar click kare

Step 4.Aapka Paypal account bankar teyaar hai

Step 5.Ab aap apni Email ID conform karni hai, uske liye apni Email ID khole us par PayPal se ek Email aaya hoga usko khole Confirm Email par click kare

Step 6.next page khulega, Password daale for Log In par click kare

Step 7.Next Page khulega. Apne account ki security ke liye question select kare or unke answer likhe fir Submit ki Button dbaye

Step 8.Next Page khulega aapke account ka us pe ek notification aaya hoga us link par click kare

Step 9.Apni Detail Update kare – PAN Card, Bank Account Number or aapne ye account kis liye banaya hai.

Sari detail save karne ke baad aapka paypal account ab ready hai online rupay kamane ke liye.
Ummid hai aapka paypal account bhi bankar ready hoga. ya fir koi paresani aa rahi ho account bnanae me to comment karo..

No comments:

Popular Posts

Contact Form

Name

Email *

Message *