Ek baar ek Sher apni
gufa mein so raha tha. Tabhi ek chuha kahin se aakar uske uppar koodne laga.
Jis se uski neend toot gayi. Sher ko chuhe par itni jor se gussa aaya ki usne
chuhe ko apne panjay mein jakad liya aur use marne ka sochne laga. Chuha
bahaut dar gaya .
Usne kaapte huaye sher se kaha -" hey Sher raja ! agar aap mujhe
jane denge to aap ka bahaut upkaar hoga aur aapke is upkaar ko mein waqt
aane par jaroor chuka doonga." Yeh sunkar sher ko chuhe par daya aa gayi
aur usne use jane diya. Par woh man hi man hansa ki bhala yeh chota sa
chuha mera upkaar kya chukayega.
Samay bitatta gaya aur ek din hamesha
ki tarah sher shikar ki talash mein jungle mein ghoom raha tha ki ek shikari ne
use chalaki se apne jaal mein pakad liya. Sher apni sahyata ke liye jor-jor se
dahaad marne laga. Sher ki awaz sunkar chuha wahan aaya. Sher ko jaal mein
phansa dekhkar usne turant apne nukele danto se jaal kaat diya aur sher ko
azad kar diya. Sher ne chuhe ka bahaut dhanyawad kiya.
Us din sher ko samajh aaya ki kisi bhi prani ki kabliyaat uske bahari roop se nahi karni chaiye aur kabhi chote- bade ka bhaidbhav nahi karna chaiye. Hamesha sabki madat karni chaiye kyunki jo doosaron ki madat karta hai, uski bhi sab madat karte hain.

No comments:
Post a Comment