‘Kane’ shabd ka matlab hota hai ‘paas’ mein.
Is shabd ka istemal pure Bhopali hi thik tarike se kar sakta hai.
Ex: Are Khaa humare Kane bhi ek Scooter tha.
‘Harkitta’ shabd ka istemal kisi vastu ya bhavnao ki
extreme limit batane ke liye kiya jata hai. Harkitta matlab bahut adhik ya
zordar.
Ex: Ye to hatkitta lag riya he.
‘Karra’ shabd ka matlab hota hai solid. Is
shabd ka istemal bhi kisi vyakti ya vastu ke tough nature ke bare mein batane
ke liye kiya jata hai, khaaskar adile ya ziddi logon ke liye.
Ex: Miyan ye(koi vyakti) to karra ho riya he.
‘Nipat’ shabd ka matlab hota hai kisi kaam se fursat
ho jana. Iska istemal kisi kaam ke khatm karne ke bare mein hota hai, waise
nipat jana ka hindi mein matlab hota hai marna. Lekin aam bol chal mein iska
matlab hota hai kaam khatm hona.
Ex: Bhai main to nipat gaya .
‘Ustaad’ shabd ka matlab hota hai Guru. Kisi
anubhavi vyakti ke liye ustaad shabd ka istemaal kiya hai.
Ex: Ustaad khub ache!
No comments:
Post a Comment