Ex: Are Miyan ! kya Ghazab kar riya he ?
‘Khaa’ shabd Bhopaliyo ka ek aur Takia Kalam ya Jumla
hai, ye shabd bhi sambodhan ke roop mein istemal karte hain. Khaa Shabd Bhopal
ka ek prasidh jumla hai, Khaa ko yaar ke roop mein kiya jata hai.
Ex: Aur Khaa! Kya Chal riya hai.
‘Bhaai-ko’ shabd bhi khoob istemaal mein liya jata
hain. Iska pronunciation Bhaaikko hai. Is shabd ka istemal Namastey ki
jagah kiya jata hai. Aapko aapka pehchan wala kahin jata hua dikhta hai to
turant hi muh se nikal jata hai ‘Bhaaikko’.
Ex:
Bhaai ko! Kaise ho?
‘Bawa’ shabd kisi ko cool dikhane ke liye kaha jata
hai. Bawa look Bhopaliyo ki shaan samjhi jati hai, Garmi ho Thandi Bawa always
looks cool.
Ex: Janch rahe ho Bawa.
‘Bhannat’ ye shabd kisi khobsoorat vastu ki tareef
karne ke liye kaha jata hai. Bhannat shabd ka istemal kisi gusse wale vyakti ke
liye bhi kiya jata hai.
No comments:
Post a Comment