Naukri nahi rehne par bhi aap PF ke pure
paise nahi nikal sakte. Sarkar iske liye niyam badalne ja rahi hai. Naye
prastav ke mutabik 58 yrs ki age tak aap adhik se ahik 75 percent tak paise
nikal sakenge.
Maujuda niyam ke mutabik agar account holder 2 month tak
berojgar rehta hai to wo PF ke pure paise nikal sakta hai.
Kshram Sachiv Sankar Agrawal ne bataya ki is ashay ka prastav
manjuri ke liye mantralay ke paas hai. Is par 10 se 15 dino mein faisla le liya
jayega. Central PF Commissioner K K Jalan ne bhi kaha ki prastavit badlav 10-15
dino mein notify kar diye jayenge. Jalan ke mutabik is prastav par karmachari
sangathano ki bhi sehmati hai.
Jalan ne bataya ki 75 percent paise nikalne ki seema ghar banana,
shadi, bachcho ki shiksha jaise maamlo par bhi laagoo hogi. Dheere-dheere yeh
seema ghatakar 50 percent par layi jayegi. Koi account holder kitni baar paise
nikal sakta hai, iski bhi seema tey hogi. Jalan ke mutabik abhi saal mein paise
nikalne ke karib 1.3 croe applications aati hai. In me 65 lac pure paise
nikalne ke hote hain.
No comments:
Post a Comment