Saving Account
Aapko apne saare paise savings account
mein rakhne ki jarurat nahi hai, halanki Saving account bahut hi surakshit jama
yojna hai. Aap jitna chahe utna paisa Saving Account mein
rakh sakte hain. aur jitna chahe us mein se nikal sakte hain.
rakh sakte hain. aur jitna chahe us mein se nikal sakte hain.
Saving Account ki khasiyat:
1.Kam Interest rate
par waapasi.
2.Deposit aur withdrawl mein aasani.
3.Saving ke aasan tarike.
Har bank ki apni-apni saving ya bachat
yojna hoti hai. Bahut baar aap sirf bachat ya saving ke liye account open karte
hain. Aapki salary ya cheque bhi usi bank account mein deposit ho sakta hai.
Aapko milne wale Interst Rate is baat
ppar depend karta hai ki aapka account kis tarah ka hai. Kuch to bank tabhi
Interest dete hain jab aapke account mein ek niyat(certain) amount har samay
deposit rahe. aap is account mein apna paisa jama rakh sakte hain aur apne
paiso par Interst ka faayda bhi le sakte hain.
jarurat padne par aap bank se mili
chequebook ya ATM card se paisa nikal sakte hain.
Current Account:
Savings Account ke comparison mein
Current account par Interest kam milta hai. Bank ke charges bhi jyada hote
hain. Aapko har cheque ke istemaal ke liye shulk bharna padega, isliye har
choti chij ke liye cheque na de. Saving ki compparison Current mein aap jyada
se jyada transaction kar sakte hain.
Agar aapke paas current account hai to
aap overdraft ke liye apply kar sakte hain. Overdraft ek tarah ka personnel
loan hai. overdraft ka istemaal kar ke aap apne account mein deposit amount se
jyada amount nikal sakte hain.
No comments:
Post a Comment