‘Bajrangi Bhaijaan’ film ko dekhne ke baad ye ahsas bhi hua
ki wakai mein film ke Director Kabir Khan kafi mehnat kar humko ek bahut achchi
movie gift ki hai. Comedy aur emotion dono mein hi film tariff ke layak hai.
Film ke bare mein to main jyada kuch nahi bataunga aapko
theatre hi jana hoga. (kisi bhi film ka asli maza single theatre ya talkies
mein hi dekhne ko milta hai. Yadi aap is movie ko dekhne jaye to single talkies
mein hi line lagaye ayr badi mushkil se ticket milne ke baad is film ko
dekhenge to shayad jyada hi maja aayega.) Jaisa ki aap sun hi rahe ho ki ye
film ek Pakistan ki 5 saal
ki bachchi ki hai jo bol nahi sakti jo apni maa ke sath rajasthan ki ajmer dargah mein aati
hai aur apne watan waapsi ke samay apni maa se bichad jati hai, Iske baad hi
film ki kahani shuru hoti hai.
Kis tarah se Pawan naam ke sidhe aur imaandar vyakti (Salman
Khan) se us bachchi ki mulakat hoti hai. Aur Pawan kis tarah se apni jaan ki
parwah na kar manavata ki unchayi dikha kar us bachhi ko apne maa-baap se milane Pakistan
pahunch jate hain. Is film mein Nawaj Siddiqui ne fir saabit kar diya ki kyun
log unki tariff karte hain? Unka damdar role shayad is film ko bahut saare
awards dila de.
Jis tarah se film mein humko ye dekhne ko milta hai ki Ache
bure log dono hi desho mein hai. Ek taraf
kuch log apni parwah na kar insaniyat ko banaye huye hain to kuch log paise aur
naam ke piche insaniyat se kisi bhi had tak gir sakte hain.
Mera review hai ki ye film samaj ko bahut achcha sandesh
deti hai is eek baar to jarur dekhna chahiye aur na sirf dekhna balki is film
ke achche logo se unki achayi se pprabhavit ho kar unke jaisa achcha ban ne ki
jarur sochein, kisi jaruratmand ki vyakti ki madad kar uske chehre par chhayi
khushi ko dekhenge to wakai ein aapke dil mein itni khushi hoogi ki aap use
bayan bhi na kar paoge.
No comments:
Post a Comment