1)Get Connected To Whatsapp Without Using That Mobile
Number: User ko net connect karne liye Wi-Fi ya Modem ki jarurat hogi. Apne
Smartphone ko Wi-Fi se connect kar Whatsapp ko Download Kare. Dhyan rakhe
Whatsapp ko humesha uski official site se hi download kare. Dusri site se
download karne par uske hack hone ka khatra rehta hai. App ke download hone par
aapko welcome screen dikayi degi. “agree to the terms” par click kare, next
screen mein user ko apna mobile number dena hoga. Uske baad Ok par click kare.
Agle 2 se 3 minute mein aapke mobile par ek SMS aayega jo ki aapka mobile
number confirm karne ke liye hoga. SMS mein ek six digit ka Pin number rahega,
Correct Pin number enter karte hi aapka whatsapp activate ho jayega.
2)Change Your Whatsapp Mobile
Number: Agar aapne apna mobile number change kar liya hai to aapko naye number
se hi puarana data(aapke contacts aur msgs) ho access kar payenge uske liye bas
aapko ek easy tarika apnana hai. Aap Whatsapp application mein ‘Settings’ mein
jaaye uske baad ‘Account’ par click kare uske baad ‘Change number on your
Whatsapp’ par jaaye. Yahan aapko apne naya number enter karna hoga first field
mein uske baad second field mein apna purana number likhna hoga. Aapke purane
number par PIN aayega use validate kare. Iske baad sabhi chat history and
Whatsapp data new mobile number par transfer ho jayega.
3)Need to Send files that are not officially supported by Android: Whatsapp par content share karne
ki kuch limitations hain, jaise RAR, ZIP, PDFs, EXE, APKs aur Words files 15 MB
se jyada hogi to whatsapp par share nahi kar payenge. Iske liye aapko apne
mobile mein CloudSend app download karna hoga uske baad aapko file upload karna
hoga us mein aapko link milega jise aap Whatsapp par share kar payenge.
4)Stop Automatic Media Download in Whatsapp: Whatsapp par
Images, Videos, Audio jaisi media files automatically download hona start ho
jati hain. Aap Setting se is change kar sakte hain.
5)Users Can Create Fake Whatsapp Conversation: Whatsaid Whatsapp
Prank naam se ek app hai jis mein aap fake conversation display kar sakte hain.
Is app ke bare mein jyada share nahi karunga kyunki iske faayde kam nuksaan
jyada hai.
6)Disabling the ‘Last Seen’ in Whatsapp: Is ke through koi
aap ke bare mein ye nahi dekh payega ki aap last baar kab login huye the. Is ka
ek nuksaan ye hai ki agar aap apni profile ka last seen disable karenge to aap
dusre ka last seen bhi nahi dekh payenge. Last Seen Disable karne ke liye
Whatsapp Setting mein jaaye, Accunt par Click kare Last Seen button mein
jarurat ke hisaab se change kare.
No comments:
Post a Comment