Bharat ka 2nd largest state Apna Madhya Pradesh
hai jo ki 3 lakh 8 hajaar square km mein hai. Ye north mein uttar Pradesh se,
East mein Chhattisgarh se, West mein Rajasthan aur Gujrat se aur South mein
Maharastra se ghira hua hai.
Globe ke anusar latitude aur longitude mein Madhya Pradesh
ki isthithi dekhi jaye to ye 21O 04N se 26O 87N uttari
akshansh mein aur 740 02E se 820 49E purvi deshanta ke
bich hai.
Madhya Pradesh mein 51 districts hain aur sabhi district
mein headquarter hai. Narmada
River Rajya ke bicho-bich purva se paschim disha mein behti huyi rajya ki sabse
badi river hai. Rajya ke Northern aur Western districts urban areas
hain. Jab ki Eastern aur Southern district mein ghane aur bade forest paaye
jaate hain.
Population ke anusar Madhya Pradesh Bharat ka Sixth bada state hai. Iska Indore district sabse
jyada population wala district hai. Shahdol, Sidhi, Chhindwada, Khargone,
Mandla, Dhar aur Jabua mein tribal population jyada hai.
Madhya Pradesh Rajya ke sabhi district ki list dekhne ke liye
yahan click kare.
No comments:
Post a Comment