Ek Gaon mein doh
billiyan rahti thi. Woh aapas mein bahaut pyar say rehati thi. Unhe jo
kuch milta tha, use aapas mein baantkar khaya karti thi. Ek din unhe ek roti
milli. Use barabar - barabar bant te samay unmein jhagada ho gaya. Ek billi ko
apni roti ka tukda doosri billi ke roti kay tukday say chota laga. Parantu
doosri biili ko apni roti ka tukda bada nahi laga.
Jab dono billiyan kisi
samjhote par nahi pahonch payi toh dono billiyan ek bandar ke paas gayi.
Unho ne bandar ko sari baat batayi aur use nyay karne ke liye kaha.
Sari baat sunkar bandar ek taraju le kar aaya aur dono tukaday ek-ek paldhay
mein rakh diye. Taultay samay jo paldha bhari hua, us wali tarf se usne
thodi si roti todhkar apne muh mein daal li. Ab doosri taraf ka paldha bhari
ho gaya, toh bandar ne us taraf se roti todhkar apne muh mein daal li.
Is tarah bandar kabhi is taraf se toh kabhi us taraf se roti jyada hone ka
kehkar roti todhkar apne muh mein daa leta.
Dono billiyan chupchap
bandar ke phaisle ka intezar karti rahin. Parantu jab dono billiyon ne dekha ki dono tukday bahaut chote-chote reh gaye to woh bandar se boli
- "Aap chinta na karein hum apne aap bantwara kar lengi."
Is par bandar bola -
"Jaisa aap theek samjho, parnatu mujhe bhi apni mehnat ki mazdoori milani
chahiya." Itna kehkar bandar ne roti ke bache hue dono tukday apne muh
mein bhar liye aur billiyon ko wahan se bhaga diya.
Dono billiyon ko apni galti
ka bahaut dukh hua aur unhe samajh mein aa gaya ki - "Aapas ki foot
bahaut boori hoti hai aur dusre iska phayada utha sakte hain."
No comments:
Post a Comment