Kisi nadi ke kinare ek
bahaut bada tree tha. Us tree par ek bandar rahta tha. Us tree par bade
meethe phal lagte the. Bandar unhe bharpait khata aur mauj udata. Woh akele
hi maje mein din gujjar raha tha.Ek din ek magar nadi mein
se us tree ke neeche aaya. Bandar ke poochne par usne bataya ki woh wahan
khane ki talash mein aaya hai. Is par bandar ne tree se bahaut se meethe
phal tood kar magar ko khane ke liye diye. Is tarah bandar aur magar ki
dosti ho gayi. Aab magar har roj wahan aata aur dono mil kar khoob phal khatte.
Bandar bhi ek dost pa kar khush tha.
Ek din baat-baat mein magar
ne bandar ko bataya ki uski ek patni hai jo nadi ke us par unke ghar mein
rehti hai. Tab bandar ne bahaut se meethe phal magar ko uski patni ke liye
le jane ke liye diye.
Bandar chalang markar tree par chad gaya. Usne
hans kar kaha - "Jao Murakh raja, jao ghar jao aur apni patni se kehna ki
tum duniya ke sab se bade murkh ho. Bhala koi bhi apna kaleja nikal kar alag
rakh sakta hai."Bandar ki samajhdari se
hume pata chalta hai ki musibat ke waqt hume dhairya nahin khona
chaiye.
Ek din baat-baat mein magar
ne bandar ko bataya ki uski ek patni hai jo nadi ke us par unke ghar mein
rehti hai. Tab bandar ne bahaut se meethe phal magar ko uski patni ke liye
le jane ke liye diye.
Is tarah magar roj jee bhar kar phal khata aur apni patni ke liye bhi le kar jata. Magar ki patni ko phal khana accha lagta par pati ka dair se ghar lautana pasand nahi tha. Ek din magar ki patni ne magar se kaha ki agar bandar roj-roj itne meethe phal khata hai to uska kaleja kitna meetha hoga. Mai uska kaleja khaoongi. Magar ne use bahaut samjhaya par woh na maani.
Magarmaach dawat ke bahane bandar ko apni peeth par baitha kar apne ghar laane laga. Nadi ke beech mein usne bandar ko apni patni ki kalejay wali baat bata di. Is par bandar ne kaha ki woh apna kaleja tree par chhod aaya hai.Woh use hifajat ke liye tree par rakhta hai. Isliye unhe wapis jakar kaleja lana padega. Magar bandar ko wapas tree ke pass le gaya.

No comments:
Post a Comment