1. LPG dealers/Bank Accounts mein Aadhar number dene ke baad
bhi main kaise aashvast rahu ki Aadhar se jodne ka mera anurodh accept kar liya
gaya hai ?
Ans. LPG Dealers aur Bank, aadhar se jodne ke liye
aapka anurodh accept karte hain aur aapko iski prapti bhi pradan ki jati hai. Oil
& Gas companies / Bank aadhar ke successfully link ho jaane par aapko sms
dwara suchit bhi karte hain.
2. Main kaise aashvast rahu ki mere LPG/Bank Account mein
subsidy pane ke liye mera Aadhar number link kar diya gaya hai ?
Ans. OPTION1: Apna aadhar linkage jaan ne ke liye OMC
ke transparency portals par ‘Check Aadhar Status’ tab par click karein. In portals
mein shamil hain
Aap in websites par apne LPG Dealers aur Bank dono ke sath
apni aadhar linkage jaan sakte hain. Aap yeh bhi dekh sakte hain ki kaun-sa
aadhar number aapki LPG Consumer number se joda gaya hain.
OPTION2: Kaun-sa aadhar number aapke LPG Account se
juda hai, ye aap apne OMC ke call centre par toll free number 180022333555 par
call karke jaan sakte hain.
OPTION3: Google play mein diye gaye mobile
application aadhar status ka proyog kare. Ye application LPG aur Bank Account
dono mein hi aapka aadhar number ke jode jaane ke sambandh mein jaankari deta
hai.
OPTION4: MTNL aur BSNL mobile customer apne mobile se
*99# dial kare aur rply aane par apna aadhar number enter karne par aap apne
bank se aadhar linkage ki jaankari deti hai.
No comments:
Post a Comment