Bhopali Chacha laaye hain aapke liye garmi se
bachne ke ek dozen aadhunik tarike. Faila do thand chutki mein.
1. Refrigerator mein paani thanda karke usse
hi nahaya karo. Paani bhi bachega aur garmi bhi pal bhar mein gaayab ho jaayegi. Nahane
ke pehle ek sardi ki goli lena avashyak hoga.
2. Hamari tarah fashionable goggles pehen ke
hi ghar se niklo. Par dhyaan rahe goggles ISO pramanit hone chahiye.
3. Garmi ke mausam mein kapdon ko almari mein
rakhne ke bajaay fridge mein rakhen. Jooton ko freezer mein rakh do. Iske baad
garmi tumhe chhu bhi nahi payegi. Ek naya fridge isi kaarya ke liye le lein.
4. TV par item girls aur cheer girls ko dekhna
band karein. Is se taapman kam hone mein sahayta milegi.
5.
Koi achha sa thanda-thanda wala tel apne sar se leke poore badan par maalish
kar lo. Iske do faayde nakki
hain. Pehla to ye ki tumhara dimag bilkul barf ki tarah thanda rahega aur
doosara ye hai ki tumhare aas-paas koi vyakti aane ki himmat nahi karega aur
isliye bus aur train mein baithne ki jagah milne mein koi pareshani nai hogi.
6. Ye khaas ladkon ke liye hain, jinke kamron
mein film abhinetriyon ke posters hain. Hata do inko. Aadhe se zyaada
garmi aise hi kam ho jayegi.
7. Jaise pyaar baantne se pyaar milta hai
vaise hi Ice cream baantne se thand milti hai. Yakeen nahi aata aazma lo.
Vanilla aur chocolate ice cream ke tees cup kharid ke garibon mein baant do.
Dekhne kaise garmi thand mein badal jayegi.
8. Kisi saste
se swimming pool ki membership le lo. Usmein roj 4-5 ghante zaroor bitaya karo.
Agar swimming pool nahi hai to apne ghar ki daayen taraf ek 5 feet gehra gadhha
khodkar usmein thanda paani bharke kaam chala lo.
9.
Kisi peepal ke ped ke neeche apna basera bana
lo. Itni thandi hawa milegi ki tum gaana
gaoge- “Mera man dole mera tan dole”. Bhooton se savdhaan rehna.
10. Mirchi ki ice cream banao aur roj ek cup
subah shaam kha lo. Ice cream aap ko thanda kar degi. Aur mirchi khaate hi
pasina chhut jayega jisse rahat milegi.
11.
Hamari tarah kam se kam vastra pehen kar bahar niklo. Kapde kam pehno lekin ek
rang birangi chhata lekar hi ghar se niklo.
12. Garmi ki chuttiyan manane hamare Himalaya wale aashram mein chale aao. Humne central AC
lagva liya hai. Lage haath humko bhi milloge aur ashirwaad bhi mil jayega
hamara. Address to hum pehle hi de chuke hain.
No comments:
Post a Comment