HURRY UP :Apne Business Ko YoungBhopal Ke Sath Jod Kar Nayi Pehchan De, Send SMS "ME" to 7748066224

Online Coaching

ATTENTION READERS :यंगभोपाल वेबसाइट पर अपने लेखन का हुनर दिखाए और अपने दोस्तो के बीच लोकप्रियता पायें.. अपने लेख आप हमें मेल करें mehratech.mail@gmail.com पर

December 03, 2014

Madhya Pradesh ke Tourist Places

Madhya Pradesh ke pramukh tourist places mein Gwalior, Khajuraho, Sanchi, Ujjain, Amarkantak, Bhedaghat(Jabalpur), Panchmarhi aadi hain. Gwalior ka bhavya kila, Maan Mandir, Gujri Mahal, Teli ki Laat, Sahastrabaahu ka Mandir, Tansen ka Maqbara, Laxmi Bai ki Samadhi, Maharaja Scindia ke Mahal mein istith Museum, Chidiyaghar aadi darshaniya sthal hain. Khajuraho mein Chandel Rajao dwara 950-1050 A.D. ke madhya banaye gaye mandir unique kala-kaushal ke liye vikhyat hain. Sanchi mein Baudhya sthal hain aur yahan ke stup tourist ke liye main attraction hain. In stupo ka nirmaan Maurya Vansh ke Samrat Ashoka ne karwaya tha. Ujjain Maharaja Vikramaditya ki prachin capital ke roop mein vikhyat hain. Yahan ke Mahakaleshwar mandir ka jyotirling Bharat ke Shiv Mandiro mein vishesh sthaaan rakhta hai. Yahan ka Ramghat aur Sandipani aashram bhi prasidha hai. Madhya Pradesh Shivpuri Rashtriya Uddyan, Kanha-Kisli Rashtriya Uddyan, Mandla, Bandhavgarh Rastriya Uddyan, Shehdol aur Govindgarh pramukh van pashu uddyan hain

No comments:

Popular Posts

Contact Form

Name

Email *

Message *